Uljhay hain kabse wahein ham
Kab hongy tujhse rihaa ham
Bethe hain kabse yahein ham
Jabse hain tanha huey ham
Sajna sawarna yeh kesa, Andar tou sab he siyah hai
Kab tak banaogy baatein, Kitnon k dil yun jala ke
Yeh khamoshi, kaatey kyun mujhe
Tu jaye bhe, dil mein kyun rahe
Yaadon ke saaye mein, kab tak rahun
Jhelun inn lamhon ko, kya mein karun
Bahar ujaalon se darta phirun
Itna hai dard yeh kese sahun
Yeh bebasi, khaye kyun mujhe
Tu jaye bhe, dil mein kyun rahe