Rooh Ko Teri Talab, Har Ghadi Rahne Lagi
Jaane Kyon Teri Taraf, Zindagi Behne Lagi
Rooh Ko Teri Talab, Har Ghadi Rahne Lagi
Jaane Kyon Teri Taraf, Zindagi Behne Lagi
Mere Lamho Mein Tera Asar Hai
Mere Khwabon Mein Tera Basar Hai
Meri Raaton Ki Tu Hi Saher Hai
Mujhe Kurbat Apni Ata Kar
Zara Ishq Mein Apne Fana Kar
Ik Dil Mein Dhadke Do Dil
Mere Lahje Mein Teri Sada Hai
Meri Ankhon Mein Tera Pata Hai
Main Tujh Mein Tu Mujhe Mein Chhupa Hai
Mujhe Kurbat Apni Ata Kar
Zara Ishq Mein Apne Fana Kar
Meri Lafzo Ki Tu Hi Zuban Hai
Mere Sazdo Mein Tu Hi Nihan Hai
Main Badan Tu Badan Ki Jaan Hai
Mujhe Kurbat Apni Ata Kar
Zara Ishq Mein Apne Fana Kar