Peeche jaate in raaston se kuch yaadein laaye hain
Bewajah yun hi baith kar phir muskuraye hain
Khud ko hi chhod aaye hain
Doobe suraj ke rang aankhon me bhar ke laaye hain
Nange pairon ne chalti lehron pe pull banaaye hain
Bhaari aankhon ne tez jhokon pe gham sukhaye hai
Kal ke hone mai aaj ne kitne pal gawaye hain
Tezz saanson ne dheema hone ke karz khaye hain
Waqt ke hathon me sab kuch chhod aaye hain
Phir kya ghalat aur kya sahi
Ae Zindagi teri karwato.n ne
Ae Zindagi teri karwato.n ne