Mutthi bhar ka jisam mera
Bandd sa pada har ek zariya
Main khushi bhi kaha se laau
Sar pe dolne lagi hain ab aafat
Akhir kyu mujhe dikhti na roshni
Jaise main hoon laash koi
Hosh mein bhi giddho se nocha jaau
Kaash koi meri baat ko samjhe
Kiya maine aisa kuch na pehnaye koi tamke
Mere aas-paas ghoomte hazaro lamhe
Lage khud ki he khayi maine jhoothi kasam ye
Ek Khayal mera khudkushi ka
Aaye dousra khayal, meri maa dukhi, haan
Mere teesre khayal mein bhi dum ghutega
Mere karmo ne sabko bus dukh he diya
Ye dil or dimag meri sunta he na
Kisi barish sa aakho se aansu baha
Har din kyu marta mein he
Milta sukoon kyu ni, haan
Har din kyu marta mein he
(Kya main bhi tera nahi?)
Kehde tu layak nahi, haan
Maine kya chodi kami, bol
Tu to deta ni sawalo ke jawab mere
Konsa tu karzdaar mera jo tu dikhta ni
Sabkuch to tera hai jo leke mein betha hoon
To tu leta kyu ni dard mere
Milta sukoon kyu ni, haan
Har din kyu marta mein he
Har din kyu marta mein he
Jaagu raatein bina jhpke ye palke
Lagta gale mein us gum ke
Jo sadmein mein he kayi arsay se
Jo milta na mujhmein mehsoos har pal mein
Tu to deta ni sawalo ke jawab mere
Konsa tu karzdaar mera jo tu dikhta ni