Shahadat yaadgaar badluram ki
Itihaas Gava jo misaal bani
Jo ki aaj bhi sipahiyon ki beech
Ye sangeet amar Indian army,
Regiment of Assam ki marching
Sainikon pe dekho bemisaal chaapchod
Bharatiya seema Aur mitti ki raksha
Nakshe pe dushman ka aagragraman
Akraman vilamb kis baat ki ab
Daaga nishana bandook-e-farz
Maut ko bhi haskar apnana
Bharat maata ki maan pe aach na ane di
Kahiye sayyog ya galti se
Quarter master ke list men naam nahi
Ration jo mili marne par bhi
Supply line cut sankat men sabhi
nirnaayak saabit yudh men hui
Par hume uska ration milta hai
Daastan - E - Hangpan dada ki,
Bachpan se shararati, janme
Satanbey chayanit sena men
Intelligence mili ki ghuspaithiye
Aatankvadi, chetra naugam men
Nikal pade chadne men mahir
Pahad, goliyon ki bouchaar ke beech
Dushamano ka bhagne ka rasta seal
Pahunchne men najdeek mili kamayabi
Mutbhed chali kuch der aisi
Aakhri ghadi tak ko teen ko maar giraya
Khoon se lath path hangpan dada ki jaan ja chuki thi
Balidan pe unke fakra humey
Parviaar ki ankhen nam hui thi
Tasveer-e-veerta ko pramanit
Ashoka chakra se wo sammanit
Shat shat Naman amar sapoot ko
Jinke bache gaaye geet jo
Par hume uska ration milta hai