Meray dil ki kitaab pay likha hai tera naam
Kesay Bholun tera naam, Kesay Bholun tera naam
Kesay yeh vaaday thukra kay wo chal diye
Apne dil ko behela kay wo chal diye
Na jaanay usne hum ko kyun yeh ghum diye
Maine kiya tha sawaal, mila na jawab
Tora yeh dil, bura kiya haal
Teri batein mujhe lagein khurafati si
Teri ankhon mein farebi ki kahani thi
Phir bhi na judaa hue tujhse
Phir kyun hain khafa hum khud se
Tujhe naam diya, maan diya, sath diya
Sab chor ke tujhko aram diya
Sab chor ke tujhko aram diya
Tune phir bhi na sath diya
Meray dil ki kitaab pay likha hai tera naam
Kesay Bholun tera naam, Kesay Bholun tera naam
Kyun thay teray jhootay wo vaaday
Hum tou rahay teray deewanay
Dil se tera sath nibhatay
Tora dil mera kanch ho jesay
Meray dil ki kitaab pay likha hai tera naam
Kesay Bholun tera naam, Kesay Bholun tera naam