Kitaabo me padha tha mene
Karo zindagi me jo mann kare
Sitaaro me jada ho, aisa naam ho
khitaabo se saja ho ghar wo
Papa ko bhi mujhpe maan ho
Bade bade sitaaro me, mera bhi ikk naam ho
Bandi bhi mujhko chhod gayi
Ghisi piti si thi zindagi ye meri
Degree bhi na thi kuch kaam ki
Sach to sab jaante ho, padhai hai bas naam ki.....
Kaameyabi ab mujhse duur nahi
Iss bat ka mujhe guruur nahi
Ikk baat meri sun lo sabhi
Na chahiye ladkiya mujhe,
Na chahiye ladkiya mujhe,
Bas sun lu, thodi si taaliya
Bas le lu, thoda sa pyaar
Kuch log to bolenge paagal hai,
Par bandar kya jaane, Adrak ka swaad
Kaameyabi ab mujhse duur nahi
Iss bat ka mujhe guruur nahi
Ikk baat meri sun lo sabhi
Ab aayega wo din bhi kabhi
Jhuumege naachege sab yahin
Lutt jaye puuri duniya ye