Hai na in baaton se tu waaqif hai, hai na
Armaano se aur vaadon se, hai na
Phir bhi ye aankhein kyu rahe hairan, hairan
Khushnaseeb, hai sar pe chatt aur kum hai kasht,
Kum se kum mein zyada diya kaise karu spasht,
Thak ke vyasth par na hue kabhi tas se mas,
Bless this verse, Namo Namo, charan sparsh,
Maa se pyaar, Pa se mehnat ka bukhar,
Seekha lena na udhaar, dena apno ko uphar,
Dena sach ka hai saath, Karna Vish ka Vinaash
Shiv ka naam le, Lagan se hoti naiyya paar,
Hamesha samjha, mujh par dala kabhi jor nahi,
Tumne sikhaya kab hai rehna nazuk kab hai rehna thos sahi, dil par lagi moch kayi,
Jab dikha na koi mod, khoya maine hosh, tum the mere close.
Mai bhi jaanu tumhe taane milte yaaro se,
Rishtedaaro se ke ladka bigda gaano se,
Mai na jaanu ke kya baat tum ye manoge,
Khushi ke bina raunak kahan dikhti hai makano mein.
Seekha tumse chalna, chaal pe yakeen karo,
Kal se kya hi darna, pal ye haseen karo,
Mai jaanu tumhe hai Parwah,
Muskurao meri duaa ko ameen karo,
Tumse hi milti aadat, Asli na koi banavat,
Tumse hi jaana kya hai paana kya hai hota sahas,
Tum jaisa banna aadarsh, dil jaise kora kagaz,
Sona mai tumhara, tumne chuaa mujhko jaise paras
Kaise in raaho mein mai chalta raha
Tera yakeen aur tere har yeh dua
Aankhon se aansu mitaaon na maa
Dekho paaya maine ye saara jahan
Hai na in baaton se tu waaqif hai, hai na
Armaano se aur vaadon se, hai na
Phir bhi ye aankhein kyu rahe hairan, hairan
Hai na in baaton se tu waaqif hai, hai na
Armaano se aur vaadon se, hai na
Phir bhi ye aankhein kyu rahe hairan, hairan.