Mere prabhu shri ram aayenge! Aur jab voh meri ankho se behti jaldhar dekhenge.. To mujhe dar hai khi ve apna dhairya na kho de
Mere viyog ki peeda unka hriday chir rhi hogi, jo mere anshru samandar ho rhe hai.. Mujhe pta hai mere raghav ro rhe hai!
Vyakul hai yh man mera, jab yaad raghuvar aaye
Raghuvar mein hi praan base hai, koi unhe le aaye
Ek to raghav pass na mere, duji prayi nagri
Kab dekhungi charan prabhu ke voh kab sudh lenge meri
Kab denge mere ram dekhai nain mere dudhlaye
Raghuvar mein hi pran base hai, koi unhe le aye
Mera man ek shan ke lie bhi tumse door nhi hua, prantu jis peda ka ehsaas aaj ho rha hai, lagta hai yhi pem ki sarvotam seema hai janki
Peeda jese hriday ko chire, shan shan nikle bhari
Ek nivala main na khau, khilaye na janki pyari
Keh de siya.. Se yh koi shwas bhi na li jaye
Ram siya bin kuch bhi nhi hai, koi unhe yh btaye
Vichlit hai yh man mera, aur yaad siya ki aaye
Prem kitna bhi ho, prantu kisi ka prem itna bhi gehra nhi ho sakta ki jisse lankapti raavan dhavst na kar ske
Ram ko rati sara din yh, aankh na ek pal khole
Jabse hai aai lanka mein siya ram ram hi bole
Koi nhi hai raavan jaisa, lankapati jo khaye
Aisa kya hai ram mein jo mujhmein dikh na paye
Meri har saans mein raghav hai
Meri ashrudhar mein raghav hai
Mere har pran mein raghav hai
Meri har pukar mein raghav hai
Janki mein to keval ram smaye hai
Voh dekho! Mujhe lene ram aaye hai