Graphene kahan se aaya hai?
Dasvi se hi chalu karte hai
Thookta sahi raah pe aur chalta galat pe
Aur jhagda hota ghar se bahar sidha sadak pe
Bhatak gaya tab samjha maa baap hi sab hai
Jeena kuch saal nahi dena unko dard hai
Umar sixteen diya dhyaan padhai pe
Bure se accha aadmi khudko badhai hai
Par ab takleefen alag jisne satai hai
Maa kasam har baat sach hi batai hai
Khafa hi hai aaj bhi kismat mujhse
Accha hi banke aage badhte gaye
Par aage badhte halaat thode sadse gaye
Hum bhi himmat juta ke beta ladte gaye
Khudke liye jo accha voh karte gaye
Din dhalte gaye takleefen badhte gaye
First sem(semester) me fail
Tab hunar pehechana gaana sunne lag gaya
Freeverse pe freeverse main likhne lag gaya
Din ba din jyada main sikhne lag gaya
Bhavishya mera mujhe dikhne lag gaya
Girte marks aur ubharta hunar
Is hunar ki kam logon ko khabar
Kamaal likha wordplay bemisaal
Pr jaan pakadna flow nahi aasaan
Tab baat yeh beta li maine thaan
Sau baat ki ek baat kaam pe de dhyaan uh
Dekh use hua pyaar par kayar main
Jhalka pyaar kagaz me tab bana shayar main
Shot bheje me shot dil ke wire me
Sunta baat uski aur sunta DILIN NAIR (RAFTAAR) main
Liar nahi par main bola nahi dil ki baat
Zahir hai kho betha tha main neend bhi raat
Ko maine jana ki pyaar karti mujhse
Pighla main tabhi abhi zakir hi hai gawah
Rozana ke karta tha share
Voh mujhse jyada karti apne ex ko care
Aur karne laga gaane post
Taane bohot mile ghar se par jaane do
Shane bohot hum bole tension kayko
Bhailog mere saath pehele din se
Chinmay pramit purab dost mere ginke
Ha pata mujhe kaafi closed mera circle
Suno zara launda kya kehra
Jisko hiphop sikhna aajao main gyaan dega
Main haaru toh bhi koi baat nahi
Music jeeta hai bas tum itna jaan lena
Aaj mehnat karke main aage badha
Aur mere aaj me sab sahi bro
Aaj graphene hai saamne khada
Aur swapnil hai gum kahi toh