Teray baaray likhna ab koi meri marzi nahi hai
Baatain krun sach saari jana kuch bhi farzi nahi hai
Teray liye tow ye zindagi guzaardi
Saari kala teray liye baaki maine maardi
Ab likhun dil se tow likhun mai sirf teray baaray
Samajh hi nahi aata ye zindagi hum kesay guzaren
Tu dil ki baatain chupa k deti jhootay saharay
Uff teri jhooti qasmain ahh teray jhootay waaday
Dil k teray band darwazay
Chehray teray 2 thay lekin
Tu jis pe hai palat k aaya
Zaaya gya tera waapsi palatna
Ye dil hai tukron mai hai mushkil waapsi simatna
Ye gaana teray liye isko ghour se tum sunna
Na chahtay hue bolunga ye aakhiri samajhna
Aakhiri samajhna ye gaana teray liye
Mujhse dur chali gye tu zamana teray liye
Mujhe tanha hai chora yun dil ko hai toora
Milne ko chor tunay mun bhi nahi mora
Everytime mujhe weed hoti pass
Maangi thi shaam aik de na sakay tum
Ajnabi ban k hi chaltay rahay yun
Kyun teri aas mai jaltay rahay hum
Kyun tu khafa mera ghut ta rahay dum
Everytime mujhe aye teri yaad
Pr aesi baat kis baat ka afsoos mujhe
Tere aana aur na aane se tu farak nhi parha
Phir kun aati mere khwaboun mein ho roz mujhe
Kehlo dost mujhe kehti roz mujhe
Jalti shama jalte jalte kun yeh roz bhujhe
Dil mein basar uska jaado kare roz subhey
Saarey raste band aney se tere roz khulein
Ab tum khud hi karo baat apne aap se kaam
Chand tasweerein yeh teri aur baki hain ghum
Ab chordo na bas aik raat ki yeh baat na
Tum marham bhi karo tu hojata mera khatma
Ab dukh dard saarey mein ne baant dya
Kache pyar ki yeh doorioun ko kaat dya
Aey khuda mere khatam karo dard
Aey khuda meri sun le tu aaj
Aey khuda tere asre hum saab
Tujhe dhoonde jahan mein hum kaab taak
Unke dil ke bazar mein saaj kar
Hum pagal jo dete rahe dastaak
Maangi thi shaam aik de na sakay tum
Ajnabi ban k hi chaltay rahay yun
Kyun teri aas mai jaltay rahay hum
Kyun tu khafa mera ghut ta rahay dum