LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Galti naa mane sanam

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Kam
Nah honge kabhi ye sitam
Aur maafi bhi kya denge hum
Jo Galti nah mane sanam
Jo galti nah mane sanam

Baatein hum kya hi kre
Iss awam se jo nah jane hume
Hum teri hawao mei khud ko baha kar
Doobe nashe mei nazare bane
Tum jane hi nahi kabhi
Hum apne nahi the tumhare bane
Humne manga tumhi ko
Jab bhi kabhi ambar se toot ke taare gire

Haan galtiyaan humne bhi kri
Par galti khud ki uss pr ladte nahi
Humne jana yahi tumne galti nahi
Ki wo saari chize sochi samjhi hi thi
Pyaar tha ya tha mazak
Tum nadani odh kar hasti rahi
Zakham hain gehre aur ashko ki baarish
Jo chaukhat par tere barasti nahi

Kaisi thi baatein wo saari
Kya yaadein tumhe kabhi aati nahi
Aankho mei ankhein dikha kar
Tum kehdo ki kuch bhi chupati nahi thi
Aaina dekhu mai bole wo khone ko
Abb kuch bhi baki nahi
Aur kaisi hai gunje ye kaano mei mere
Kyu tujhe ye sunane mei aati nahi

Kam
Nah honge kabhi ye sitam
Aur maafi bhi kya denge hum
Jo Galti nah mane sanam
Jo galti nah mane sanam

Baatein hum kya hi kare
Iss awam se jo nah jane hume
Hum gum ko bikher ke likh dete dohe
Ye dohe ab meri pehchan bane
Iss sab mei rakhta hu khud ko
Ki tere khayalo se duri bane
Par likhta hu jo bhi mai nah jane kyu
Tere hi baare hote hain vakya mere

Andheri raato mei meri
Ujaale ke namonishan nhi hai
Darta hu sone se kyuki
Tu abb bhi milti mujhse khwabo mei hi hai
Chahu mai iss gum se rahat
Kaise mitau ye chahat
Shayad tere siva
Iss dard ka koi ilaaj nahi hai

Kaisi thi baatein wo saari
Kya yaadein tumhe kabhi aati nahi
Aankho mei ankhein dikha kar
Tum kehdo ki kuch bhi chupati nahi thi
Aaina dekhu mai bole wo khone ko
Abb kuch bhi baki nahi
Aur kaisi hai gunje ye kaano mei mere
Kyu tujhe ye sunane mei aati nahi

Hard battery

Kam
Nah honge kabhi ye sitam
Aur maafi bhi kya denge hum
Jo Galti nah mane sanam
Jo galti nah mane sanam

Gum
Ab kya hi bantenge hum
Aati hai khud pe sharam
Ki kaise the paale bharam

WRITERS

Souhard Chauhan

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other