Bas kalam h mehbuba jo kabhi rehti hataash nahiii
Cheere jo seene ko tere hai meri awaaz vahii
They call me the veteran of the game .... Nd am proud wid
Ye karke jhol .. nashe mein vyast ... Bhule khudka mol
Uppr vala tere karmo ka raha tarazu tol
Maa sikhati keval chlna .. par safal hona toh Daud
Karke mehnat raato dugni ham chlte aage ki aoor
Taazi saans leke Vaadiyo mein likhu main fasane
Krke jamm tera scene , teri shakal fir bigaade
Toxic hai rishtedar bhosdk maare taane
Par fikar Kari kisiki na kyunki haan ham barbaad hai
Meri baatein na smjhenge han ye ghar ke hain shezaade
Triply seedhe Shikhar fall se , baawe sab ugarvaad hai
Dar na lagta Gadere se , raate Katt ti andhere mein
Baje old school beat fir Thappad padte yha ghere mein
Apno se rakhta Vair nahi , Juda khudke vajood se
Kalam meri ye pyaasi aur Siyaahi rangi khoon se
Hai sheher blessed up , thanda chakk aur sukoon hai
Karte Ginti kaayaro ki nahi , saath chale bas Rangoon hai
Bars mein daant todne ki baate krte ye Keet se
Fir padte real punches jaise chlri streetbeef man
Sharafat ka ode chehra buzdil chlte hain bheed mein
Hm Sar Uthake jeete , aur jeete khud ke usool se
Bas kalam h mehbuba jo kabhi rehti hataash nahiii
Cheere jo seene ko tere hai meri awaaz vahii
They call me the veteran of the game .... Nd am proud wid
Dete cold flows kyunki bande mussoorie ke
Khayi se zyada gehri soch rakhte hamse Door hi reh
Izzat se aate paish , karte dil se pure kam
Vrna sadko pe sar khulte , Anjaam Sare aam (ayeee)
Aur Ye kal ke baalak karte gang gang
Inke jaiso ki hm 9vi mein toda krta the
Jb akele chalna seekha tab ye bande bane bhed
Karta har din khudse Jung tha , aur ye duniya karti bhedh
Kari bhaitt hai kala ko kasam se kalam kubair
Bane sher par asal mein geedad hota mujhko khed
Mad Bois in mah crew , na tu chedh chaadh kar
Aake sheher mere Gehri lambi saans bhar