LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Harami

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Kapde hai kaale par vision hai bright ye ladke haraami

Ladke haraami

Jeb me cash phir raaton ko aish ye karte shaitaani

Kare shaitaani

Ye ladke haraami, ladke haraami

Ye ladke haraami, ladke haraami

Alag hai leher ab jaane har sheher hum laate tsunami


Flow jaise dalle khursani, na karte footani
Ye dil rakhte khush itna lagta bhutani
Hum rakhte khuddari, ye karte gaddari
Hum Raaton ko nikle ye jungle safari
Ye taare zameen par hai darsheel safary
Main suraj hu taaro ko deta jagah nai
Jab bhai bole maarne toh puche wajah nai
Jab gang bole pull up toh puche jagah nai

Bhailog scene kare dhapadap
Gaadi rakhne chakachak
Dikki me taiyaarri hai samaan bhara khachkach
Note chaape Satasat
Neat maare ghatgat
Ek call pe ladke hote haazir yaha fatafat
Kaam kare dhadadad
Hisaab Kare baraabar
Beef with me kare tera crew pura safachat
Pull up aur Tapatatap, tapatap, tapatap

Ladke sab super hai
Baatein sab muh par hai
Ek saala duper hai
Dusre pe hooter hai
2 peti shoe par hai
Aadhe ka woofer hai
Baitha jo upar hai
Usi ka shukar hai
Pehle tha scooter
Ab budget me cooper hai
Kehti wo chu kar hai
Bhai Tera looker hai
Boli wo bajte rehte tere gaane tu mere mohalle me dilo ka shooter hai

Hip hop ke ilaawa na lifestyle hai dooja
Kaam hi hai passion aur passion hi puja
Isme phir aaya jo karne angootha
Phir uski behen ka lollapalooza
Apne se behtar ye banke dikhaade hai inme wo shamta nai
Kolkata sheher se bhai tera par inke liye zara si bhi Mamta nai

Jeb me cash phir raaton ko aish ye karte shaitaani

Kare shaitaani

Ye ladke haraami, ladke haraami

Ye ladke haraami, ladke haraami

Alag hai leher ab jaane har sheher hum laate tsunami


Tera bhai east side don
Jab bhi naam lera mera toh phir Thik kar tone
Jab bhi mic pe main aaya toh phir click clack gone
Sab jaante hai kaun

Yaha best kare rap
Bas flex kare facts
Big cheques Kare cash
Up next on the map
Ek text pe hai stacks
Tujhe jaankaari nahi mere Kaam itna sahi
Mera naam leke ex kare aish

Tera bhai khudka karta dharta ladka girta padta ladta kyuki marta kya na karta, wo bas padhta darta, kyuki kal ka dar tha
Aur ab kal se darta
Humesha asafalta
Hi toh humsafar tha
Aur ab fal sabar ka
Jo na mila mil saka
Toh Toda dam fasal ka
Ab har beat pe tadka
Har street pe charcha

Baat sun

Gardi hai khoon me
Lafda toh naak se nikaale sardi hum June me
Gaane ye aise ki baje ye clubs aur gaadi se leke saloon me
Asli hai mehnat na shortcut
Chai ki tapri se star bucks
Rukna ni wala main jab tak iss pair ki dhul ko bulaate nai stardust

Kapde hai kaale par vision hai bright ye ladke haraami

Ladke haraami

Jeb me cash phir raaton ko aish ye karte shaitaani

Kare shaitaani

Ye ladke haraami, ladke haraami

Ye ladke haraami, ladke haraami

Alag hai leher ab jaane har sheher hum laate tsunami

WRITERS

Jaitay Bhardwaj, Siddhartha Sharma

PUBLISHERS

Lyrics © TUNECORE INC, TuneCore Inc.

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other