Yaar chal kuch baat karte hai
Kuch aisa Jo tu kisi ko naa batana chahe
Aaj us baare me baat karte hai
Ek taraf dost or jaan thi
Yaha bolte nahi bhai please
Jai jinendr waalekum salaam bhi
Ye tabki baat jab hote nahi Wi-Fi
SCI-fi ke naam pe comic saath thi
Kare kaafi raade ab vo baat nahi
Yaha launde bane pussy, inki aukaat nahi
Karwaye compromise, gaande faad di
Vo bhag ke nikle, bole ab jaan de be
Bhai rukja bhai rukja kya bol rha hai
Abe tu pagal ho gya hai bhai
Do min ruk, Do min me pahuch rha hoon
Dhaare uski tez par lagti nahi shareer pe
Dheere dheere maare usse, ye nahi farishte
Par usko dikhe ek hi cheez vo hai ye rishte
Saansein uski ghoti usne apne hi zameer se
Haath kiske the, ye koi bhi na puche
Kaisi thi majboori , kaise the ye vo rishte
Rok hi na paaye ab aagni usko kheenche
Buddhi garam mila usse apne khoon me
Phir kyu koose usse usi cheez ke lie
Dil tha saaf, mila khol ke
Par usse nahi pata ye the dogle
Rakhdi zindagi apni haath me , vo iss zindagi ko tol re, chal bol re?
Kaisa jhela wajan us patli si rod ne?
Kya? kya matlab hai ki nahi hai?
Bol kya raha hai? Pagal ho gya hai kya?
Aazaad hai vo, Aazaad hai vo
Is duniya se Azaad hai vo
Usse jaane do, Usse jaane do
Aazaad hai vo, Aazaad hai vo
Is duniya se Azaad hai vo
Usse jaane do, usse jaane do
Tumhare layak insaan nahi vo