Pichle 4 din, vo hai ek raaz
Reh gya akela mai mere man me awaaz
Mai hi bharmah aur mai hi Ram
Kya matlab reh gya is kaam ka, naam ka
Jab bach gya mai akela insaan
Jaana hai us parvat ki choti ke paar, jaha ka hua tha geeta me kathan
Talash Us tapasvi ki jisne kia bharaman rachan
Vachan Lena unse karke tapasya
Amavasya ke din aaye vo saamne dia ek vardaan aur bole
Sab mere peeche bhaage koi tan ke lie
Kisi ke man ke lie, koi apne chal ke lie, par na mere dhan ke lie
Halaat ke saath, niyat kuch badli
Baaten Jo bole usme hota hai khot
Haan yahi sochta tha mai roz
Mai to sanyasi tapasya me leen hu
Bhole ke choti pe upja ek beej hu
Andheri raaton me jeeta hu
Haan meri hi JINVANI aur mai hi to geeta hu
Kholi teesri aankh, aur dekhi Saari sachai
Jo ho rha tha is duniya me, ye katha sunai