Hai ye ghana, andhera gehra
Subahon pe hai, raaton ka pehra
Shaamon ka hai, ik rang gehra
Par door talak, hai roushini ka qatra
Hai ye safar, abhi to thehra
Khamoshi ne har, pehar ko ghera
Kshitij pe hai koi roushini ka qatra
Machaan pe hai chadh, ke aasamaan dekha