Kuch madhosi si thodi bekaraari
Kuch khamoshi si thodi behoshi
Jaise dil mein mere toofan chal raha ho
Naa jaane ab aage hoga kya
Naa jaane ab aage hoga kya
Naye ehsaas jo kai rangon se bhare
Teri chaah hai kai arson se mujhe
Har lamha charo pehar naam tere
Koi aa paye na khayaalon mein mere
Jaise dil mein mere toofan chal raha ho
Naa jaane ab aage hoga kya
Naa jaane ab aage hoga kya