Ek farishtey ne mera naam pukara hai
Usi ne mera aakhri bistar sawaara hai
Mere kaano me usne ek baat batayi hai
Alvida keh do sabko kyuki ye meri tümse judaayi hai
Jab mood gaya mai apne aakhri raaste par, kuch aansu mere aankho se aaye hai
Jaa toh raha hoon yahase par ye Khushi nahi 100 saaye hai
Khudse keh toh raha hoon ki Kitna kuch karna reh sa gaya
Par sach toh ye hai ki ye judaai ki mushkil ko seh sa gaya
Agar mai apne kuch purane palo ko firse jeena chahun
Toh wo tumhare palko ke chanv me gudarna chahun
Tumhare chehre ki hasi me muskurana chahun
Tumhe ek aakhri baar mehsoos karna chahun
Par fir mujhe ehsaas hua ki abb ye mumkin nahin hoga
In palo me mere jagah abb bas meri yaadon ka sahara hoga
Jab maine iss duniya ka socha toh bas tumhara khayal aaya hai
Aur tumhare bina mera kya hoga ye sochkar mera man ghabraya hai
Abb harr subah, Suraj aayega
Aur tumhare aankhon se nami hatayega
Ek din mera khayal tumhe aur nahi satayega
Tumhara naya din tumpar musukrayega
Mai Khuda ke ghar se tumhe niharuga
Tumhare diye hue pyaar ko sambhalunga
Itna hone par mujhe toh khuda apna hi lega
Mere minnaton par tumhari zindagi sawar hi dega
Jab tumhara ye kal mere bina shuru hoga
Toh Zara sa bhi maayus mat hona
Bas aasman ki taraf dekhkar muskurana
Kyuki tumhare dil me hoga mera aashiyaana
Kyuki tumhare dil me hoga mera aashiyaana!