Mai tumse akelepan me mohabbat karunga
Akelepan me kyuki isme tum sirf meri hogi
Mai tumse faasle rakh kar mohabbat karunga
Faasle kyuki isse meri rooh ko udaasi se azadi hogi
Mai tumse hawa bankar mohabbat karunga
Hawa kyuki wo mere hothon se narm hogi
Mai tumse khwaabon me mohabbat karunga
Khwaabon me kyuki waha saath jeene marne ki kasamein hogi
Mai tumse ektarfa mohabbat karunga
Ektarfa kyuki isme tumhaari namanzuri nahi hogi
Tumhaari namanzuri nahi hogi