LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Uske Liye (Prelude)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Char saal beet gaye
Main galat tha, bahut zyada
Saza thi woh zindagi
Har subah guilt ke saath uthta tha
Aur har raat regret ke saath sota tha
Main bhaagta raha
Duniya se, logon se
Aur sabse zyaada, khud se
Log aksar kehte hain na ki waqt sab theek kar deta hai
Maaf karna, aaisa kuch nahi hota
Waqt bas ehsaas dilata hai ki tum toote hue, barbaad aur akele ho
Par asli insaan wo hota hai jo inhi galtiyo ko sudhar kar jeeta hai
Aaj agar wo saath hoti toh shayad bahut naaz karti mujhpe
Kehti ki tum abb kaabil bann chuke ho
Shayad wo abb ye sab sunn bhi rahi hogi
Ya pata nahi ye bas mera ek behkawa hai
Par jo bhi hai
Ab wo saath nahi toh kya hua, mera dil toh aaj bhi hai hi na, uske liye

WRITERS

Kunal More

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other