Khud ko bolta ki main theek hoon
Par andar ka toofaan bahar aane nahi deta hoon
Ye hasi muh par har waqt rakhta hoon
Par andar he andar khud se main ladta hoon
Apne khwab ko pura karne ke liye roz man ko samjhata hoon
Beeti jo hai mujhpar ab tak
Ab tum logon ko sunata hoon
Idhar se udhar har taraf mera dimag bhage
Life mein kuch bada karna, aisa mera khaab hai ek
Dimag mera ek jagah tikta he nahi
Mere thoughts mujhe raat ko sone dete he nahi
Ye karo, voh karo, jo jo bola sabh kiya
Phir bhi dimag mein sukoon he nahi
Hacking to main karta par dimag ka koi hack nahi
Log bole aise to tu doobega zarur he
Par bhai log samjho is dimag ki ye majboori
Ghar valon ne mera har waqt hai saath diya
Berozgaari, depression, jo aaya sab main seh gaya
Is baat ke liye rab tera shukriya
Mannaten poori ho, yahi maine duya kiya
Par unki ankahi baate bhi mai samjha hoon
Disappoint nahi karna yahi koshish karta hoon
Ayashi ke liye kabhi mana unhone nahi kiya
For granted na lu kabhi, yahi koshish karta hoon
Gol-Gol ghumti baat mere dimag mein
Bhooton ki tarah haunt karti din-raat mein
Darr lagta hai unko nirash na kar doon
Isi vajah se risk lene se bhi darta hoon
Kuch bhi karke meri ye ladai khudse jeetni hai
Husstle is the only key, jo kaam mujhpe karni hai
Ab sab log dekho abhi bohot aage jaana hai
Parents ka sar uncha, aur kuch bada karke dikhana hai