LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Mahavir Chalisa Chalisa

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Sheesh Navaa Arihant Ko, Siddhan Karu Pranam,
Upaadhyaaya Aachaarya Kaa, Le Sukhkaari Naam.
Sarv Saadhu Aur Saraswati, Jin Mandir Sukhkaar,
Mahavir Bhagwaan Ko, Man-Mandir Mein Dhaar.
Jai Mahaavir Dayaalu Swami, Veer Prabhu Tum Jag Mein Naami,
Vardhmaan Hai Naam Tumhaara, Lage Hriday Ko Pyaaraa Pyaaraa.
Shaanti Chhavi Aur Mohani Moorat, Shaan Hasili Sohani Soorat,
Tumne Vesh Digambar Dhaara, Karm Shatru Bhi Tum Se Haaraa.
Krodh Maan Aur Lobh Bhagaaya, Maayaa Ne Tumse Dar Khaya,
Tu Sarvagya Sarva Kaa Gyaata, Tujhko Duniyaa Se Kyaa Naata.
Tujhme Nahi Raag Aur Dwesha, Veet Raag Tu Hitopadesha,
Tera Naam Jagat Mein Sachcha, Jisko Jaane Bachcha Bachcha.
Bhoot Pret Tum Se Bhay Khaave, Vyantar Rakshas Sab Bhag Jave,
Mahaa Vyaadh Maari Naa Sataave, Mahaa Vikaral Kaal Dar Khaave.
Kaala Naag Hoy Fan Dhaari, Ya Ho Sher Bhayankar Bhaari,
Na Ho Koi Bachaane Wala, Swaami Tumhi Karo Pratipala.
Agni Davaanala Sulag Rahi Ho, Tej Hawa Se Bhadak Rahi Ho,
Naam Tumhaara Sab Dukh Khove, Aag Ekdam Thandi Hove.
Hinsaamay Tha Bhaarat Saara, Tab Tumne Keenaa Nistaara,
Janm Liyaa Kundalpur Nagari, Hui Sukhi Tab Parajaa Sagari.
Siddharath Ji Pitaa Tumhaare, Trishalaa Ki Aakhon Ke Taare,
Chhod Sabhi Jhanjhat Sansaari, Swami Hue Baal-Brahmachaari.
Pancham Kaal Maha-Dukhadaai, Chaandanpur Mahima Dikhlayi,
Teele Mein Atishay Dikhalaya, Ek Gaay Ka Doodh Giraayaa.
Soch Huaa Mann Mein Gwaale Ke, Pahunche Ek Faawada Leke,
Saara Teela Khod Giraayaa, Tab Tumne Darshan Dikhlaaya.
Jodharaaj Ko Dukh Ne Gheraa, Usne Naam Japaa Jab Teraa,
Thandaa Hua Top Kaa Golaa, Tab Sab Ne Jaykaaraa Bolaa.
Mantri Ne Mandir Banvaayaa, Raajaa Ne Bhi Daraba Lagaayaa,
Badi Dharmashaalaa Banvaayi, Tumko Laane Ko Thehraai.
Tumne Todi Beeson Gaadi, Pahiya Khiskaa Nahi Agaadi,
Gwaale Ne Jo Haath Lagaayaa, Phir To Rath Chaltaa Hi Paayaa.
Pahile Din Vaishakh Vadi Ke, Rath Jaata Hai Teer Nadi Ke,
Meenaa Gujar Sab Hi Aate, Nach-Kood Sab Chit Umagaate.
Swaami Tumne Prem Nibhaaya, Gwaale Ka Tum Maan Badhaayaa,
Haath Lage Gwaale Kaa Jab Hi, Swaami Rath Chaltaa Hai Tab Hi.
Meri Hai Tooti Si Naiyaa, Tum Bin Koi Nahi Khivaiya,
Mujh Par Swaami Jara Kirpa Kar, Main Hoon Prabhu Tumhaaraa Chaakar.
Tum Se Main Aru Kachu Nahi Chaahoon, Janam Janam Tere Darshan Paau. Chaalise Ko Chandra Banaave, Veer Prabhu Ko Sheesh Namaave.

Soratha:
Nit Chalisahi Baar, Paath Kare Chaalis Din, Kheya Sugandh Apaar,
Vardhmaan Ke Saamane Hoy Kuber Samaan
Janma Daridri Hoy Jo Jiske Nahi Santaan
Naam Vansh Jag Mein Chale

WRITERS

Traditional

PUBLISHERS

Lyrics © IPRS, Royalty Network

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other