LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Shantinath Bhagvan Aarti Aarti

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Om Jai Jinvar Deva, Prabhu Jai Jinvar Deva,
Shanti Vidhata Shiva Sukh Data Shantinath Deva.

Aira Devi Dhanya Jagat Mein, Jis Ur Aan Base,
Vishvasen Kul Nabha Mein Mano Poonam Chandra Lase.

Krishna Chaturdashi Jeth Maas Ki Anand Karatari,
Hastinapur Mein Janm Mahotsav Thath Rache Bhari.

Balyakal Ki Leela Adbhut, Sur Nar Man Bhayi,
Nyay Neeti Se Rajya Kiyo Chir Sabko Sukh Dai.

Pancham Chakri Kaam Dwadasham Solam Tirthankar,
Traya Padadhari Tumahi Murari Brahma Shiv Shankar.

Bhavtan Bhog Samajh Kshanbhangur Muni Vrat Dhar Liye,
Shat Khand Navnidhi Ratan Chaturdash Trinavat Chhod Diye.

Dudhara Tap Kar Karam Nivare, Keval Gyan Laha,
De Upadesh Bhavik Jan Bodhe Ye Upkar Kiya.

Shantinath Hai Naam Tihara, Sab Jag Shanti Karo,
Arj Kare Shivaram Charan Mein Bhav Atap Haro.

Om Jai Jinvar Deva, Prabhu Jai Jinvar Deva,
Shanti Vidhata Shiva Sukh Data Shantinath Deva.

WRITERS

Traditional

PUBLISHERS

Lyrics © Royalty Network

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other