Dil diya tha meine tujhe bewafa
Kyun tod gaya tu har sapna mera
Baate teri yaade mujhe sone na de
Kisko dikhaun ab ye dard mera
Honto pe tera hi naam tha
Subaha bhi tu hi tu hi sham tha
Dekha tujhe socha tujhe chaha har pal
Tu kya jane kitna tu khas tha
Aitbaar kiya tha meine tujhpe mere yaar
Kaise bhul gaya jo khuwab dekhe humne sath
Baate teri yaade mujhe sone na de
Kisko dikhaun ab ye dard mera
Acha diya hai sila tune mere pyaar ka
Sara nasha hi utar gaya ab yaar ka
Teri baate teri yaade sab mita dungi
Tu bhi dekh tujhe kaise me bhula dungi
Ek din tu bhi meri jaan pachtayega
Jab karma apna khel dikhayega
Tere jaisa hi koi tujhse takrayega
Tab yaad tujhe mera pyaar aayega
Palko pe apni bithaya tha
Seene se tujhko lagaya tha
Bahon me beeti har shamein teri
Bas pyaar tujhpe lutaya tha
Aisi kya ho gayi thi mujhse hai khata
Jo raas na aayi tujhe meri wafa
Baate teri yaade mujhe sone na de
Kisko dikhaun ab Ye Dard Mera