Dil yeh toota lekar kaise sambhalu khudko
Sacchi mohobbat thi Bhala kaise mai bhuladu tujhko
Chain nahi milta mujhko neend nahi ati hai
Teri yaadon ka aana Meri Barbaadi hai
Dil mein tujhko hi rakhun
Mehfil mein baitha hoon per
Be asar hai husn yeh sarey
Sapno mein tera hi hai deedar soniye
Tu bhi jaanti mai karta tujhko pyaar soniye
Teri zulfo ka hai jaadu kya kamaal soniye
Khudpe hota nahi hai kaabu tu sambhaal soniye
Jaam ke pyaale tere aagey sab bekaar hai
Tujhmein wafa kyun dikhti mujhko behisaab hai?
Tu hi karaar hai yehi toh malaal hai
Tujhko duwayein deta dil jo Behaal hai
Dil yeh toota lekar kaise sambhalu khudko
Sacchi mohobbat thi Bhala kaise mai bhuladu tujhko
Chain nahi milta mujhko neend nahi ati hai
Teri yaadon ka aana Meri Barbaadi hai