Jab jab mujhko, Chhot lagi hai
Dard ne mere, unko sataya
Apne sapne, dil me dabakar
Khud ko bhulake, mujhko badhaya
Pairon me chaale pad jaate
Mere liye meelon chal jaate
Mere liye khushiyaan laane me
Dard bhari keemat hai chukaayi
Me apni neendein hain gawai
Jeevan ki daulat hai kamayi
Maaf mujhe tum kardo papa
Aansuo mere ab ruk na sakenge
Khuda ne jo cheena, humse tumko
Sach main bataun hum jee na sakenge
Chodkar mujhko ap gaye kyun
Mujhko bhi le jao ,saath rahenge