Apnay mien kisson ka kya hi bataon
Chup hoon to rehnay de zara
Haal hai aisa kay kya, kya chupaon
Ghao hien itnay ke ginnay jaye na
Roz miloon mien khud say poochon yehi
Itna bhi kya tha mien bura?
Dil kahin laga nahi wafaien kho gayien
Darr raha tha jissay woh khataien hogayien
Khaali pan ka meray kyun uthaya faida
Ro ro ke din kattay ab jiya jaye na
Waaday hien kitnay jo nibha na saka
Jhoot bhi bolay hien kaein
Ab to yeh waqt hai kay kehta nahi hoon
Waisay gilay to hien kaien
Aye yakeen na kay mien kya ban chuka hoon
Dhokay milay hien jo ke soochay nahi thay
Kar leta ab to mien yakeen
Aarazo hai yeh kay bus milay na ab koi
Phool dil mien meray ab khilay na phir kabhi
Khaali pan ka meray kyun uthaya faida
Ro ro ke din kattay ab jiya jaye na