I'm writing down falsafay
Wo kehti chaon mein chalein
I know kitne mukhlis kitne dil jaley
I know kitne mu ke phiche snitch karein
Likhun ganey nahi mein likhun falsafayy
Kitne rappers jo bas batein hi karein
Usi maksad ke phiche mein chala
Eik hi baat kitni baar kahi
Mein zinda banda hun koi lash nahi
Jo deti zakham bina sochey tum
Phr kehti maharaib mein ehsas nahi
Hochuka zakhmo se mein chur
I'm writing down falsafay
Wo kehti chaon mein chalein
Yeh mera hunar ke dil se utar chuka,
Yaadon mein khoya ke na janey kab hochuki subha,
Kia hi bataun tere hijr ki afsurdagi ka
Betha sirhane khochuka jese ho pehli dafa,
Theek hai kaho bas hum khudko hi badalte hain
Kaho bas eik baar mohabbat mein phir jalte hain
Tum ho ab jaan dil ke mohalle ki mehfilo ki
Lekin ab jaanlo hum ghar se kamm nikalte hain
I'm writing down falsafay