Karwat badalta raha hai tu Chaaro disha
Rookhi ummeedon ki chaadar se chehra dhaka..
Jhooti tasalli koi kitna bhi de de bhala
Jo bika hua, use bech paayega kya...
Tu kehne ko azaad hai....
Par Ankhon me chingariyaa.
Salakho me hai, salakho me tha
Tu Chaaro taraf se ghira..
Ab chahe to lele mazaa....
Salakho me hai, salakho me tha
Roshni daraaro se chhut paaye to kya...
Woh haseen khayaalo me doob paaye to kya....
Tehzeeb baato me aa bhi jaaye to kya...
Tu kehne ko azaad hai....
Par Ankhon me chingariyaa.
Salakho me hai, salakho me tha
Tu Chaaro taraf se ghira..
Ab chahe to lele mazaa....
Salakho me hai, salakho me tha