Mere dil ka kona ek anchhua sa
Behtari ye anchhua hi rahe
Haatho mein mere thama do kalam
Aisi ho magar syaahi na ghate
Kora panna ek aisa do magar
Kitna bhi likhu kabhi na bhare
Koi bhi na mujhe preshaan kre
Jud na paaye kisiiiiseeee
Kaale baadal jo paaye na baras
Tarse ek dooja khaaye na taras
Bhooka baitha hai muh ki khaake
Kuch Bolega toh hojayega galat
Jaanoge nahi toh kya kuredog?
Bikhrunga nahi toh Kya sametoge?
Kaise bharose k tukde karoge
Jo main kehchuka hu wo jaante hoge
Likha jo sab wo gaaya ni hai
Zaaya ki hai ye syaahi kaafi maine
Likhke kaafi mitaya bhi hai