LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

The MAK intro

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Mere Aaspas ghoomein parchaai
Par meri ni mujhe nazar aayi
Lage kami koi , kya ho bharpaai?
Kaisi preshani mere sar aayi
Sabhi ek jaise main alag sa hi
Jiski taraf jaata hu wo bhagta hi
"Mujhe apnaaya ni jayega"
Banke ye baat zehen mein darr aayi par

Roshni ki koi chhaya ni hoti
Lgegi hui hai mehnat kabhi bhi
Zaaya ni hoti
Harek Daane pe naam
Harek naam pe daane nahi
Kaaya mein aatma par
Aatma ki kaaya ni hoti

Prakriti meri likhna Quotable pe Quotable
Sach bolu घृणा khudse chhode jo har mauke par
Jaldi ni safalta mili tabhi अहंकार ni hai
Girte dekhein hain kaafi warna muh k ओंधे बल
Bey ek gaana fataa poori discography fategi
Main seedhe seedhe ni aaya yahan paar kari jalebi
Toote ,gire, jale bhi par aage tere khade
Khush hota hu sochke mere baad bhi kalaa rahegi

MaK Akela Kaafi
MaK ne Jhela Kaafi
MaK ne Mauke diye toh
MaK ni dega maafi
MaK ne maryaada ki kabhi ni dehleejein laanghi
MaK usoolo ko maarega ni - lelega faansi

Heere ko heera ya toh johri samajh payega
Kuchh Kaagaz hain bharein maine jinse करोड़ ajayega
Maze ki baat ye hai fark dekha jaaye toh ki Raddi mein kaagaz wo becho 2 ke bhaav bhi ni jayega

Bikaau nahi par kya keemat samajh paaya hai ?
Bharosa tujhe mujhpe ya maine kamaya hai ?
Vichaar, bhawnayein ,anoobhooti keh du
Lekin lakdi k dil ki kab deemak samajh paaya hai ?
Par dekha jaaye lakdi ki keemat deemak se zyada kisey ?
Lakdi jale ghar uska गेहूं k ghunn saath pisey
Socha hai haar kyu humesha hoti bure ki ?
Kyunki kahani saari jeetne waala hi likhe
Sochne pe krdeti hai baatein majboor meri
Toh fir socho likhne se pehle kya sochta honga main
Likhke btadun tumhe drishay agar narak k
Toh kitni dafaa din mein wahan jaake laut-ta honga main ?
"Laachar ,kamzor ,ya galati mein hoga yehi "
Aksar zamaane mein matlab ye maun ka hota hai
Magar main waqif hu keemat se mere lafzon ki
Pataa hai mujhe kahape kaise kya bolna hota hai

Samjhana usiko bas jo smjhna chahta
Usey kya kahe jo baitha kare iraada hai
Barasta toh paani hi hain baadalon se lekin
Keemat hai nirbhar wo kis darrya mein jaata hai

WRITERS

MaK MusicK

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other