Main kinaare pe baitha hoon
Paani ki laaleema meri aankhon se mel kha rahi hai
Kinaare pe kisine angrezi mein FOREVER likhke
Ret ka ek ghronda bnaya hua tha
Lehrein dheeme dheeme se krke usko harbaar mitaa rahi
Suraj ko dhalte hue akela na mehsoos ho
Isliye socha uska thoda sath dete hain
Waise hum dono mein samaanta yei hai k
Dhalte dekhke hum dono ko sab kinaara kar lete hain
Samandar ki ek-aadh boond mere chehre pe aagyi hai
Shayad usme wapas Milne ko ankh se nikal chali hai
Ye lehrein mere paero k neeche se ret ko aise htaarhi hain
Jaise kal tak haath mein rahi cheezein achanak se fisalte jaarhi hain
Ek tooti ummeed samete do aankhein
Teesre peher ki taraf badhte din ko
Bin palak jhapke bas nihaarte jaarhi hain
Nihaarte jaarhi hain iss aascharyajanak samaanta ki ओर
Jo mujhme aur dhalte suraj mein nazar aarhi hai
Maano alvidaa kehrhi hon ...
Alvidaa kehrhi ho Har us khaab ko
Jiske peeche taa-umr judaa tha par adhoora rehgya
Jaise kareeb aake apne lakshay k
Jaise kisi andhe ko uska sapna dikha ke
Uski dekhne ki kshmta ko usse wapas cheen liya gya ho
Jaise zindagi bhar uparwaale se maangte rahe
Maa Baap ka iklauta beta Jawani mein hi beet gya ho
Khojne ko dilaasa khoji jaa Sakti hai
Rokne ko aapda roki jaaskti hai par
Din ko dhalne se kon rok paaya hai
Aankhein ,lehja ,aansu , शारीरिक भाषा आदि
Ke andaaje se baatein boli jaaskti hain
Par jaane waale ko kaun rok paaya hai ?
Mere liye usse bada Swaal hai ke roka toh kab tak rok paaya hai ?
Koi azmaaye toh bura lagta hai
Par kai baar safaai dene ki jagah aazmaane dena padta hai
Kheir Main kahape tha ,toh haan
Rokne se kon kab roka gya hai
Daayre todne pe aayein toh
Lehrein kinaare nigal jaati hain
Udhar ek machhwaara hai uske jaal mein 3 machhliyan thei
Aur ek bachke nikal bhaagi hai
Par machhwaare ne usey wapas pakad liya hai
Lehron k zariye se Samandar ne usko aakhri dafaa chhua
Par shayad wo isbaat se anjaan tha ki ye aakhri dafaa hai
Main akela baitha hoon kinaare pe
Par pyaale 2 hain ,Ek khaali ek bhara
Bhare pyaale mein baithi chaai ne
Intzaar karte karte dumm tod diya hai
Aur wo ab thandi padgyi hai
Mere badan pe tapan thi jab yahan aake baitha tha
Yahan se aage ka raasta kaise tay hoga
Asal mein yahan se aage raasta hai ?
Main toh ye bhi nahi maanta
Bss Chalte jaarha hoon...