Mare toh nahi ho kya jeena jaante ho ?
Dhokhe se laanghi hai ya seema jaante ho ?
Iske Patthar hain dono taraf
Ek ko poojta kya hoga mera bola mazhab ?
Dono ek hi, sahi hoga koi ek ni
Ya dono sahi honge ya toh
Mere mann mein yun Chalti rahe
Ye chalti rahe humesha Udhedbunn
Meri chale ya na marzi chale
Ye chalti rahe humesha Udhedbunn
Mere mann mein yun Chalti rahe
Ye chalti rahe humesha Udhedbunn
Bekhabar kya peher kya samaa
Ye chalti rahe humesha Udhedbunn
Fansa ghamo k andhere kisi taapu pe aake
Abhi wo rahe khada haath jode aage khuda ke
Aur nakaarta dekh kisi madad ko aate
Phir chalaa roshni bnaane wo bhi naav jalaa ke
Ye hua jaan ko gawaana khaali paanv bachake
Jab dooji taraf ho saansein aur raah mein bichhe ho kaante
Main kaise jaanta k bhramit tu ?
Sukoon se pyaara tujhe क्षणिक सुख
Khushi ya bhay koi ho abhimukh
Tujhe bhaavnaao k hona ni वशीभूत
Kyunki hona raat ka zaroori tabhi savere ki
Jisne dekhe ni utaar toh chadhaav ka ni mazaa
Poora hona aise khaab ka alag hai
Jiske raaste mein haar thi par khaab nahi maraa
Or jo dekhe na thaali dooji jalan ni hoti
Kisi aur k haq ki ho roti hazam ni hoti
Mere aaspas bhi aise udaaharan hai kai
Unko mila jo mujhe milta toh kadar ni hoti
Toh mere mann mein aabhar mile dukho ka bhi
Unko darjaa dete raha hu main guru ka hi
Jaali ko asal se alag karne waali jaali wo girgito k rang dikhne ko dukho ka bas hona kaafi
Unse kehna mera jadein kaatdete
Aise तने mein deemak chhod k jaana toh theek nahi
Mere haq ka hi maangu toh bhi paap hai kya ?
Kaise hai wo Haq jo milega agar bheekh mein hi ?
Mere mann mein yun Chalti rahe
Ye chalti rahe humesha Udhedbunn
Meri chale ya na marzi chale
Ye chalti rahe humesha Udhedbunn
Mere mann mein yun Chalti rahe
Ye chalti rahe humesha Udhedbunn
Bekhabar kya peher kya samaa
Ye chalti rahe humesha Udhedbunn