Tujhse mila hu mein jabse
Dil mera kyun bechain hai
Mujhe khud se na tu door kar
Dua ye meri tu qubool kar
Dua ye meri tu qubool kar
Tujhe dhundta hu mein jis mod se guzru
Magar aarzu ye meri adhoori
Dil mein khushiyan si jayen yu bhar
Dua ye meri tu qubool kar
Dua ye meri tu qubool kar
Karoge yun mehsus meri kami ko
Hawa me yu dhundoge meri mehak ko
Aana mushkil hai fir lot kar
Dua ye meri tu qubool kar
Dua ye meri tu qubool kar
Dua ye meri tu qubool kar