Yeh mere aakhiri hain shabd, filhaal
Kuch hain khayaal aur kuch hain sawaal
Mai na jaanu meri manzil hai khatam yahi
Ya abhi jaana hai mujhko, uss paar
Shayad antim hain yeh shabd mere
Bas kuch waqt ke saans bache aur
Meri jind bhi unke naam hai
Iss waqt mai jaan lgaadu saari
Jitni bhi mujhme jaan hai
Ooncha karna maine, apne abba ka naam hai
Bikenge mere gaane bade bade bade daam mei
Har raat meri, kore kaagaz ke naam hai
Bas karna hai kaam pe kaam
Araam ka na meri zindagi mei koi kaam hai
Aan, leke kalam mere haath mei
Chal pada ajj rachne ko itehaas mai
Shabd pe shabd pe shabd ke waar se
Kholunga ajj kuch gehre se raaz mai
Mere unn bhaiyon ki banunga awaaz mai
Shor machaaye khaamoshi bhi meri
Dil pe lagne vale kahu alfaaz mai
Taaqat meri iss goonj mei hai
Yeh taaliyaan na rukni chahiye
Pyaar bhari janata ke aage
Meri gardan bhi jhukni chahiye
Mere saath chalne vali, ikk chahiye
Jise keh saku mai jaan, ikk chahiye
Mera aasmaan, mera ikk jahaan
Aur usko bhi bas Manikk chahiye
Yeh mere aakhiri hain shabd, filhaal
Kuch hain khayaal aur kuch hain sawaal
Mai na jaanu meri manzil hai khatam yahi
Ya abhi jaana hai mujhko, uss paar