Raahon mein khada main to karoonga intezaar
Mil jana mujhko hoon bada hi beqaraar
Mujhko zaroorat hadd se zyada hai abhi
Mita beqaraari door na ja ajnabi
Tujhse jab miloonga kya kahoonga sochta
Tumhein yaad karna kaam mera roz ka
Abhi to mili hain mujhse nazrein yaar ki
Dosti huyi hai na huyi hai aashiqui
Main bhi tere khwabon mein hoon doobi aajkal
Tujhe chaahti hoon har pahar har ek pal
Dil ki ye mohabbat ab labon pe aa rahi
Tu ban gaya hai zindagi ki har khushi