Zulm ke saye mein lab akhir kholega kaun
Agar hum ab bhi chup rahe to fir bolega kaun
Kisan ekta zindabad kisan andolan zindabad
Abaad ho teri zindgani, jaag kisaan na ho barbaad
Jaag kisaan na ho barbaad,
Are kya hai tune jo tere dil mein thani
Ab honge hum milkar azad,ab honge hum milkar azad
In raho main bhale sangharsh ho ,tere pakhs main hoga faisla
Harega dushman humse hi ,jeetega tera hosla
Tu himmat kar,tu zurrat kar,tu samne aa, tera josh dikha
Badlega hindustan badlega hindustan
Raaj karega kisan ,badlega hindustan
Is dharm ke naam pe jo zulm ho rahe hai
Ye sab kar rahe hai neta ,or ab kasam se ye sahan nahi ho rahe hai
Bose mahatma bhagat bhi hue yahi the is bhoomi per
Ye bhool gayi sarkarein shayad inhe yaad dilane chale hai
Jab baat watan par aa jaye to hum sab sirfire hai ,hum sab sirfire hai
Har zulm ko milega mooh tod jawab ,
Har shakhs ko dena hoga poora hisaan .
Thar thar thar thar kanpegi julmi riyasat
Phad phad phad phad fadkegi khooni siyasat
Ye paap ki lanka jo hai bani jo zulmo se hai hui sani
Ise dahan karega ab kisan
Badlega hindustan badlega hindustan
Raaj karega kisan ,badlega hindustan