LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Teri Meri Dosti (Not Your Usual Love Story)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Nadaniyo se bani hai
Masoomiyat se bhari
Hai jo pare qaayado se vahi
Teri meri dosti

Baatein hai jo meri
Tere bin adhoori
Tu hi hai, mujhme basa
 
Shamein hai jo thehri
Khwabo mein jo meri
Dekhe hai tujhko yaha

Main to hua hu tera
Jaise subah pe os ka chehra
Saath hai tu mere yu
Par hai nahi, kyu aaj bhi mera

Chahe tujhe hai yeh
Rishte bune aise
Dosti ke daayaro se pare

Dil bhi hua, aise
Beimano jaise
Tere mere vaayado se pare

Roye hai yaha yeh
Sunle tu dua re
Kya hu main bhi kuch tera

Ya nahi, main bhi
Ajnabee, sa hi
Ho gaya, hu gumshuda

Main to hua hu tera
Jaise subah pe os ka chehra
Saath hai tu mere yu
Par hai nahi, kyu aaj bhi mera

Chahatein mile tujhe sabhi
Chahaton ke aashiyaane bhi
Main to ghoomu dar-ba-dar kahi
Tu hi to thi ghar mera

Bas yuhi zindagi meri
Khush hai teri khushi se hi
Tere siva zindagi nahi
Na koi khushiyan yaha

Chahatein mile tujhe sabhi
Chahaton ke aashiyaane bhi
Main to ghoomu dar-ba-dar kahi
Tu hi to thi ghar mera

Bas yuhi zindagi meri
Khush hai teri khushi se hi
Tere siva zindagi nahi
Na koi khushiyan yaha

Main toh hua hu tera
Par tu nahi, kyu aaj bhi mera

WRITERS

Shaunak Sharma

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

LyricIQ Analysis

Top Emotion

Sadness

Sentiment
Thumbsup Icon
Theme

None