LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

PAPA MUMMA

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Papa
Aur meri pyari mumma
Aap dono ke bina na kuch mera
Aap dono se hai meri duniya

Papa
Aur meri pyari mumma
Jaana mene jaana kya mera
Luta doon tumpe saari khushiyaan

Tumse hai yeh jeevan mila tumpe jaan vardoon
Karzdaar mein tumhara tumko saara pyar doon
Jitni bhi musibatein mandrati mere chaaro aur
Hamesha sath rehke himmat deti meri maa

Bazaar mai jo chal diya mein thaame haath papa ka
Jeb unki khali mein khilone lena chahta tha
Khudke sapne maar ke jinhone mujhko pala tha
Aaj unko saari khushiyaan dene ko hu mein chala

Pehla pyar pehli dosti bhagwan aap ho
Maa ke kadmo mai hai jannat toh pura brahman wo
Tapti dhoop mai chamdi jalake ghar chalane vala
Bhuka piyasa khudko rakhke humko khilate wo

Aur sabse jyada pyar karne wali meri maa
Apne hisse ki bhi roti mujhse baat leti maa
Mujhse ruth thi toh thoda thoda daat leti maa
Zindagi ke har safar mai mera sath deti maa

Papa.......aur meri pyari mumma
Aap dono ke bina na kuch mera
Aap dono se hai meri duniya

Papa.......aur meri pyari mumma
Jaana mene jaana kya mera
Luta doon tumpe saari khushiyaan

Aaj bhi hai yaad papa aate nhi the ghar
Subha se shaam nokri aur raat se dupher
Jimedariya nibhane mai na diya khudpe dhyan
Aaj dhundli nazre buddhape ki ho gayi umar

Kapde naye dilaate khud phate purano mai
Puri zindagi beeta dein par shikand na mathope
Aur aisa bhi ke shok karna chahte wo nhi
Badle pyar ke wo jyada kuch aur maangte nhi

Bhaagte nhi halaat se wo haar maanke
Duniya ki padi kitaab wo adhura gyan dein
Kaam chhota ya bada nhi mene sikha aap se
Kehta gaano mai jo bolna saka hu saamne

Unke baare kya hi bolu shabd kam pad jayenge
Kaafi takleefo se ladke bhi na dukh jatayenge
Rote akele mai saamne wo khush dikhayenge
Barso ki kamai jodd bachcho pe lutayenge

Papa....... (Papa)
Aur meri pyari mumma (mumma)
Aap dono ke bina na kuch mera
Aap dono se hai meri duniya
(Aap dono se hai meri duniya)

Papa....... (Papa)
Aur meri pyari mumma (mumma)
Jaana mene jaana kya mera
Luta doon tumpe saari khushiyaan
(Luta doon tumpe saari khushiyaan)

WRITERS

Sagar Raj

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other