LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

19 January

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Ye gaana un 2 logon ke naam jinhone diya mujhe mera ye naam
Saari zindagi zarooraton ko maara
Unki wajah se kbhi main himmat nhi haara
Lekin aaj himmat khin toot si jaati hai
Mamma ki aankhein thide kamzor hoti jaari hai

Unhi ke haath thode patle se lagte hain
Jinke kandhon pe ki puri bachpan sawaari hai

Ghar jaata hun to lgta ki mehmaan hun main
Hmesha deadline ek isse pareshaan hun main
Flight ki ticket book hoti hmesha roundtrip
Kb hoga phle jaisa sb uparwaale puchlun main

Mann krta hai ki phle jaisa ho jaaye sb
Puraane ghar ki mehek mein khojaaye ab
Mamma ko krna pareshaan pura din aur
Abbu se lgna gale jb wo laut ke ajaye bs

Lekin mujhe lgta darr ab us time se hai
Jb abbu waapis kbhi laut kr nayi aayenge

Main bhi krlunga zindagi mein bahut kuch
Magar raat mein baithkar kbhi khaana nhi khaayenge

Hogi takleef bahut zindagi mein waise
Magar phone pr mamma ki awaaz phirse nayi aayegi

Mamma ke nam se jo saved number hoga
Uspe waapis phir kbhi bhi ring nahi jaayegi

Lekin koi nhi abbu aap se yhi to seekha hai
Zindagi badalti rhti iska ye saleeka hai

Mamma aapka beta hain bahut khush aaj
Aapne bnaya isko itna kar paaye ye aapki baat

Haan hojaata gussa kbhi hojaata naraaz
Kya krun ye gussa mujhe mila bhi aapse hai

Shukriya abbu samjhaaya hmesha
Nhi jaane diya mujhe kbhi galat raaste pe

Zindagi mein mile bahut se dost
Lekin unke rishte bs saare naam ke the

Wo jo lgta tha ki bade hokar aayega maza
Asal mein bachpan ki din hi aaram ke the

Phone pe lga hai unhi do ka wallpaper
Baap se seekha jhelna pareshaani maun rehkar

Kaise btadun saari takleefein unhe main jinhone
Aajtk uff na kri meri khaatir sb sehkar

Aajkal koi bhi apne maa baap ke jaisa nhi
Sochte unko chahiye ni kuch paisa hai to unpe hai sb

Duniyawi cheezon ka waada to main krta nhi
Lekin waada hai main aapko dunga apna saara waqt

Pta hai aapke liye zyaada kuch nhi kiya abhi
Lekin jispe aapko garv ho ek din main houng wo shaqs

WRITERS

Mohd Aiman

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

From This Artist