Ikk vaari aaja, jab main naam pukaaroon
Ikk tarfa raja, aadaton ko na sudharoon
Guldasta jaise dino ko sajaaun
Hai ye basta jo mera, tere dil mein samaa loon
Khush nahi hota inn raat se abhi
Khuda ki kasam, karr baat toh sahi
Khoda apne dil ko ghaat ki tarah
Tujhe pata tha tu saath pehli raat nahi
Dekhoon harr din tere khushi ki tasveer
Jiske naseeb mein tu likha, usse kahoon main ameer
Akela main ranjha, tu thi bani meri heer
Akela abbhi sirff teri rahi hai tasveer
Ragon mein jo rang, wahi tera kalakaar
Gaane likhoon main, jisme tu hai sansaar
Khuda sune nahi baat main kala se sunaaon
Hummein rangg bharr de, aansu waale rukhsaar
Vyaktitva tera Hussain ka canvas
Yaadon mein ruka tujhe khoya maine jab
Baki aadha bura sapna tere aankhon ki nami
Teri aankhon ki nami, mere jhoot ki wajah
Maafi dede jaana, tujhe bhool na saka
Botal absolut, tujhe bhoolne ki koshish
Pyaar ka izhaar kabhi karr na saka
Ankahi kahaani hamaari, ankahi teri ulfat
Dekh na saka phir, dekhi teri rukhsat
Hisse ki kahaani meri suni, tera hissa
Kabhi bata dena jaana jabb mile tujhe fursat
Intekaam ye tera, na hota sehen
Tere naam pe jo jaam piya, nahi woh zeher
Zehen thak gaya! Jaana kar tu reham
Dil se bula mujhe, nafrat ka mitaa doon veham
Parrchayi banna chaha main jabb tera
Seher thi tu, kabhi dekh na saka
Lehron mein kashti bohot door ni jaate
De aas tu kabhi, hum theher bhi paate
Thehrenge nahi, abb tyaag diya
Afsana tu mera jo main khaak jiya
Itni doori nahi, teri meri galliyan
Parr samjha jo main bolu nahi teri boliyaan
Chamakti tu rahe, the world is your stage
Never be locked, in your very own cage
Take care plays, and you're the image
Dhadakti tu rahe, with a smile on your face
Iss janam mein haasil kar na sakoon
Heera hai tu, shaayad choo na sakoon
Dafn-e-kabr nahi janam mein yakeen
Milane ki sabr, abhi karr na sakoon
Baras guzre kha taras mujhpe
Tujhe kabool na humaari taqdeer jab takk