Sunn meri baat, kisi aur ko na sunaoon
Kaleje mein kamra, kisko taala main lagaoon
Botal aur bistar tere jaane ka sahara
Band abb kamra jisme hissa ye tumhara hai
Khabar nahi, nahi mujhe uss gupt ka pata hai
Mere iss mazboot dard ka jo iklauta wajah hai
Pyaar akela ya butta, phir bhi saath sada
Khuda kab bhi na bataye kaise arsa kata hai
Ek tha woh, tu tha mera tera hoon main
Tujhe jo junoon tha, ab bhi mera wahi wajood
Tu jo gaya tera hasna tera yaad hi suroor hai
Intezaar na fariyad, tera gussa bhi sahoon main
Hamesha, hamesha yahi kehta tha main tujhe
Aafat aaye ya na aaye tu na bhool paayegi mujhe
Kaisa tha woh bharam, kaisa karam ka yeh khel
Kyon ki aafat kya, maut naa le jayega tujhe
Toh leja, leja kahin parre mujhko tujhse
Phir bhi woh dua tera juda hai jo mujhse
Aafat ka toh kya, ek jannat jo hamara
Ek din tu jo aayega, mannat mera ye kuwaara hai
Sunn meri baat, kisi aur ko na sunaoon
Kaleje mein kamra, issko taala main lagaoon
Botal aur bistar tere jaane ka sahara
Band abb kamra jisme hissa ye tumhara hai
Galati thi meri, jisse hamari kahaani hai
Tu na sune maafi, lekin mujhe phir sunaani hai
Kya karoon, panne likhoon-phadoon kaisi ye judaai
Nahi seh sakta main, teri aisi saza jaari hai
Panne maine phaade usse jodta raha main
Ek hi mera khuda, uska naksha kahaan hai
Tujh mein jaise basa, agar waise hi woh aaya
Mere panno ki tarah, humaara kissa juda hai
Kissa, tu joh mere dil ka hissa hai
Kyun tune nafrat ko aise pala-posa
Mere lafz; khali tere zikr ke bina hai
Dil ko phir se laa, uspe haqq jo mera
Tera saath ho toh ek baar kehde haan toh sahi
Samajh mere toot te halaat ko sahi
Tere haath bager subha-saanjh nahi
Phir bhi raat gawah, saccha pyaar abhi
Sunn meri baat, kisi aur ko na sunaoon
Kaleje mein kamra, issko taala main lagaoon
Botal aur bistarr tere jaane ka sahara
Band abb kamra jisme hissa ye tumhara hai
Ikk tarfa pyaar jo tu mere hi khilaaf
Khush-haal philaal tujhe rakhe woh phir saanf hai
Naa dil hai mushkil, badla tera hi insaaf
Par noor tera, jiska khwahish mere saath hai
Khuda rakhe tera haath hai, jiska khwahish mere saath hai