Na Aise Mera Dil tum Dukhae jao
Na mere hisse wali cheeze khae jao
Mai halke mei lene wali cheez nhi
Ye nalayak ek din lega mehngi fees wohi
Kyu aise Mera Dil tum dukhate ho shayad maut apni mere haatho chahte ho
They are teaming up ye milke kar rhe match fixing but I'm unbeatable toh karlo try to go and get me
Shayar beat pe behta hua shayar Kalam jalake mai shayari sunata clearly spiting some fire
Zinda bas maa ke liye itna pata hai berehem Duniya iss duniya ka kya hai
Kabhi Jo karta vo sab hi gunah hai
Ban meetha shakkar toh duniya Fida hai asli ki shakal na asal mei bhaye
Jo kehte the rahenge hamesha tere lie
Wo kahi bhi Nazar na aaye
Jabtak kuch Banta nhi tabtak hai ghisni Varna ye duniya ghuma degi frisbee hawa mei baaz nhi Banta titli
Kisi ki sagi nhi hai ye sheher Dilli
Chod bahane nikla Mai ghar se bahar
Hua Safar chalu bhagne ko tayaar
Nhi meri galti agar dekha nhi aapko chu** pe nhi deta dhyaan kyunki
Aisi cheezo mei mai bhi Jinping
Karu flow switches kare beat ding ding
Purani Sangat se hua dur tabhi thoughts hone Lage Sinking So
Na aise Mera Dil tum dukhana mere yaar
Sadhgi se baithke kar rha apna kaam
Kisi ki achievements nhi lagata naam apna
Honestly No hate mujhse lele Ram Ram
Mere saath mere yaar Sangeet likhna kaam
Baaki Samay nikal deti Dilli ki ye jaam
Honestly no hate Mai akela khush hu na
Honestly full hate mujhpe aur bhi hai kaam
Dosti Nibhata Dil Se Par Baawa ye Sheher hai Dilli chalte rishte nhi dil se
Laga Dil ke saath dimag aur apni tu Jeb sambhal thodi Nazar hati Durghatna ghati fir pata nhi kaha janab
Mai kar rha flex nhi mai bta rha sabhi ko dikatte Safayi nhi hoti hai jhadu se jab kaalik bhari ho dil mei
Mujhe Ghar ki diware kat ti hai
Aur bahar ki killate aam si h yaha sabhi ko sab ko karna unite par andar ki andar ki mansha jhaak rhi hai
Never leaving my culture bhale aap ko lagra cool nhi par mai majboor nhi
I manage both things at the same time
I'm just speaking facts not being rudy
Na aise Mera Dil tum dukhana mere yaar
Sadhgi se baithke kar rha apna kaam
Kisi ki achievements nhi lagata naam apna
Honestly No hate mujhse lele Ram Ram
Mere saath mere yaar Sangeet likhna kaam
Baaki Samay nikal deti Dilli ki ye jaam
Honestly no hate Mai akela khush hu na
Honestly full hate mujhpe aur bhi hai kaam