Mai udd raha hu ek haseen khwaab me
Jeet chakhi maine lazeez swaad me
Ab nahi hai, koi fikar dimaag me
Itne saal se mai scene me
Hai mehnat mera jeetne ka secret
Hater-on ki aavaz aati thi mujhe jaise ho delay
Par ab saare padd gaye hain dheele
Sangeet ki ye duniya suhaani, lagta hai meri beat-on se dosti puraani
Meri dikkato ko deta mai malham zubaani, aur gaano se leta aehsaas ruhaani
Dimaag bhi ye santulan banata
Mai ladta hu, parchaiyon se
Par hausla rehta ye jagmagata
Humne khud ki raah pe chalkar
Seekha hai kahan hai daldal
Bas mehnat se apni kismat, aazmayein
Mai udd raha hu ek haseen khwaab me
Jeet chakhi maine lazeez swaad me
Ab nahi hai, koi fikar dimaag me
Jo mere dil ke bahaut rehte the kareeb
Un logon ko hai maine kho kahin
Gira jo mai to dosti ke pull bane
Khoobsurat bann gayi meri naseeb
Lagi thi buri kuch aadatien
Laga tha khud se mai bhaagne
Hai hisse haseen khwaab ke
Bharosa iss kala pe, banegi ye misaal
Mai udd raha hu ek haseen khwaab me
Jeet chakhi maine lazeez swaad me
Ab nahi hai, koi fikar dimaag me