Kiye waday tuny toray saray
Hathon m hath liye khol darwazay
Dheemi raftar say ham hai bhagay
Jhootay qasmay waday tere
Ab mai betha Kamray mai band
Sochun tere baray kay tum
Bhulana tujhe bana maqsad
Nahi hai karna ab yaad tujhe
Waise he dekh chuka ab bohot bura waqt
Na dekhna hai tera ab face mujhe
Rehna har shay say juda jo hai tujhsay juri
Hona hai dur tujhsay ab khud hi
Nahi chaiye kisi ka sahara mujhe
Na tha kabhi itna nazuk kay
Torday mujhe tera hona khafa
Ab teri khatir mai na likhunga or
Bhalay dil mera ye taras jaye
Ab aingay han log tere bad
Na hai tere pyaar ki ab pyaas mujhe
Hai kehna ab khairabad tujhe
Kiye waday tuny toray saray
Hathon m hath liye khol darwazay
Dheemi raftar say ham hai bhagay