Khudko khodia meine teri talaash mein
Dekha chehra khudka tootay huay kaanch mein
Behad ro dia jab hua phir ehsaas
Sab kuch hotay huay bhi aaj bus ek tu nahi mere paas mein
Koi nahi esa jisse hum is gham ko baantlein
Kia ye paisa tera barh k teri jaan se?
Kia koi tera meri tarah chal basa hai?
Kia akelepan mein tujhe bhi yaad aatay guzray haadsay?
Khuda kiun faaslay banaye tuney aashiqi mein
Raastay jab alag tw milaaya hi kiun humein?
Kia meine tujhse kabhi ziyada ki koi khuwahish ki?
Wo mere liye nahi tw phir dikhaaya hi kiun humein?
Gir k phir khada hua bachaanay waala koi nahi tha
Mujhe teri yaad aayi sab se ziyada phir us lamhay
Kisi k marnay se kisi ki saansein rukti nahi
Wo maqbara unhi ka par dafnaya gaya humein
Zinda murda chalta phirta
Na kisi ko ab mein dikhta
Aye neend na tw raaton mein wo taaray rehta ginta
Kisi ko farishta lagta kisi ko darinda
Jese par kata parinda phir se urhnay ko tarasta
Kandhon par leke ghumey bhaari bharkam basta
Jese bhatka koi musaafir bhulay apnay ghar ka rasta
Ae mere sanam tumko hai qasam
Tum raho tw dil gulzaar hai
Tere bina hi hum hojayein khatam
Tum nahi tw sab bekaar hai
Ae mere sanam tumko hai qasam
Tum raho tw dil gulzaar hai
Tere bina hi hum hojayein khatam
Tum nahi tw sab bekaar hai
Itna sab kuch hojaanay k baad bhi tum kharay ho
Na khair na koi khabar najaanay tum kahan maray ho
Humein tw laga k tum phir nahi kabhi lautogay
Insaan ya shetaan ho tum kis mitti k banay ho?
Humne tumhein roka tha par tumney phir nahi suni na
Humesha wohi kia tumney tumhein sahi lagay jo
Bhala karo kisi ka tum dua lo phir kisi ki
Tum shukar karo Rab ka k tum ab tak zinda bachay ho
Dil se dil ki baat bata kisse tu khafa?
Jaa chukay jo unhein chor jo rehtey unhein bacha
Zindagi ki qeemat marnay waalay ko pata
Khonay waalon ko pata mein kehna chahta kia asal mein
Kuch beetey lamhey puri zindagi badalgaye
Kuch mujhko deke jeevan mere khaatir mar gaye
Kuch mere apnay peet pe vaar mere kargaye
Kuch nishaan jang k mere jism par bhi chap gaye
Bhar chuki chotein peechey rehgyin yaadein baaki
Sang inkey tanha meine kitni raatein kaati
Kitni rehgyi or baaki mjhe or pilaa saaki
Jab tak hosh na rahay bhulaa dun mushkilein mein saari meri
Bujhey na pyaas hokey paas pura darya
Katay na waqt betha dekhta reh ghariyan
Ya phir mjhe bhi uthaa ley
Jese saari dunya waalon se mera dil bhargya
Ae mere sanam tumko hai qasam
Tum raho tw dil gulzaar hai
Tere bina hi hum hojayein khatam
Tum nahi tw sab bekaar hai
Ae mere sanam tumko hai qasam
Tum raho tw dil gulzaar hai
Tere bina hi hum hojayein khatam
Tum nahi tw sab bekaar hai