Dhal jaye har umeed ki kiran jab dikhta nai kahin bhi koi rasta
Kis dagar mjhe le chalay safar
Khudse bhi na mein waabasta
Ajnabi lagney lagay sabhi
Kashmakash mein zindagi kati
Arsa hochuka khudse na mila
Karke munqata sab se raabta
Kabse laapata mjhko naa bata
Chal basay wo log dil me jo basay
Jaanke mjhe sadma sa laga
Jisko dhund raha wo tw na raha
Paagal horaha q tu khwaamakha
Tjhse kia kahun tjhse kia milun
Arsa hochuka khudse naa milaa
Khoon baha bohat dafa lagi chotein
Qismat badli khotey sikkon ne meine
Kiye waaday jo wo kabhi nahi toray
Lar gaya mein khaatir kuch rishton k
Miltey hon jab sab matlab se kahun dil ka ye haal bhala kisko mein
So na saka mein sakun se kahin
Jagaa k rakha mujhe mere sapnon ne
Ho na sakogey tum mere kabhi chaahay rakhdun nikaal k mein dil qadmon mein
Nai chahiye tera jhuta pyaar
Mjhe gham mera yaar nikla ghaddaar
Hokey pura darya paas najaanay q meri mitti na pyaas
Bechain dil is qadar k is behaya mein na raha dar
Karchuka sabkeliye tu sab kabhi khudkeliye kuch bhala kar
Tu ghumta phirey darbadar khudke hi ghar ko jalaa kar
Ye bebasi man mein basi kiun meri ho ke bhi nahi
Kiun mjhse pehle chal basi
Na jee sake na mar sake kia khoob kheli zindagi
Bemaqsad lagey bematlab lagay
Kitne mere dushman kitne mere marchalay
Kabhi lagay koi nai kabhi lagay sab meray
Der na lagay ziyada waqt ko badaltay huay
Kabhi badshah kabhi lagta faqir
Khwaahishon ki dali per mein zanjir
Chah k bhi tu kabhi aagay na barh sakay
Yaadon ki chapi zehan mein tasvir
Ek baar phir mjhe wahin lejaye Ankh band karun meri tw wo sab dikhtaye mjhe har ek cheez mere Dil k qareeb Kia kuch bacha paas kia kuch chor aaye
Peechey lagi bharmaar mere zakhmon ki
Kuch bhar chukey or kuch daagh rehgaye
Unchi awaaz meri naghmon ki
Mere dil mein jo thi wo baat kehgye
Mera raaz har ek sachay jazbaat
Hum pannon mein jo dafnaatey gaye
Bana bethe dil ki qabar khud ko supard khaak kargye
Ya Rab mjhe de sabar tjhe har khabar mein darbadar
Sunley meri aarzu mere sar mein jo uljhay sawaal tere ek isharay ka muntazir
Mere pinjray se mjhe de nikaal
Rab tu tw jaanay kese tuta dil
Mjhe har gham se karde azaad
Ese jee na lagay mjhe na mumkin
Mere har Marz ka tere paas ilaaj
Mere bus mein Jo tha Kara kia Kuch nai tanha khada hua sab k khilaaf
Mjhe koi dar nai mjhe nai parwah
Agar kal ko koi mjhe de marwa
Tum Rona nahi Meray jaanay pe
Meine tere liye likhe gaanay ye
Mann jab bhi ho tera kbhi afsurda
Tu jab marzi mjhe sun sakta
Jitni koshish karein saarey ab
Mein mar k bhi nai kbhi marsakta
Geet saaray mere Kitne hochuke amar
Kia kuch kia theek kia kuch kia ghalat
Hoga tw sabhi se hi sab ka hisaab
Miley sab ko insaaf tu kr thora sabar
Umeed k diye ko na bujhne de
Rab sab Janta h rakhay sab pe wo nazar
Haathon ko dua keliye uthne de
Gunehgaar pe bhi aksar hojaye karam
Bina dil k bhi chalti dharkan
Chalta phirta Lage jese maujza
Mushkil tha Mera wapis lautna
Karke sab kch dafan ek naya jeevan
Jese Khuda ki taraf se mila mjhe tohfa