LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Jamuniya

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Sajni ki humne pakad ke kalaiyaan
Haan rang daali saari chunariya hai
Wo naa bura maane kehti hai aankhon se
Yehi to Mauka saanwariyaa hai

Naina taras gaye jiss ke daras ko
Phagun mein aayi jaamuniya hai
Naina taras gaye jiss ke daras ko
Phagun mein aayi jaamuniya hai

Rangon ki aayi leher
Nachein sab jaise qaher
Sab hain madhoshi ki Masti mein
Payal ki goonje jhanak
Kanghan ki khanak khanak
Khanki mere dil ki basti mein
Kurti safed teri Kar doonga laal hari
Pichkaari bhi aaj dolegi Bhaang ka paan hoga
Har samaadhaan hoga
Sajni jab dil Apna kholegi

Sajni ki humne pakad ke kalaiyaan
Haan rang daali saari chunariya hai
Wo naa bura maane kehti hai aankhon se
Yehi to Mauka saanwariyaa hai

Naina taras gaye jiss ke daras ko
Phagun mein aayi jaamuniya hai
Gayi hai rango jaisi baras wo
Saa raa raa raa gaaye muniya hai

Chhajje pe tu, arrey kaahe chhipe
Main aa gaya jo wahaan Chaahoon jo main bhi
Hai chaahe wohi tu Kar naa paayegi manaa
Chaahoon jo main bhi Hai chaahe wohi tu
Kar naa paayegi manaa Sajni sharmaayi hai
Haaye khil aayi hai Rangon ka rang udd gayaa

Hai holi meri jaan Dekh buraa mat maan
Laga mere ang rang Mujhe raahat dila tu
Peeta nahi bhaang Aaya kitni gali laangh
Tere liye li chhalaang Zara paani pila tu
Kuch naa mila tu Tujh pe hai nazar meri
Dekhe jaaun main tujhe Tukur tukur tukur tukur
Muh dho ke aa tu gayi Ye to niyam mein nahi
Rang phir laga Doon tujhe Aa aa aa aa

Kora badan tera.. lalchaaye mann mera
Rang Doon kya kori gagariyaa hai
Wo naa bura maane kehti hai aankhon se
Yehi to Mauka saanwariyaa hai

Naina taras gaye jiss ke daras ko
Phagun mein aayi jaamuniya hai
Gayi hai rango jaisi baras wo
Saa raa raa raa gaaye muniya hai
Naina taras gaye jiss ke daras ko
Phagun mein aayi jaamuniya hai
Naina taras gaye jiss ke daras ko
Phagun mein aayi jaamuniya hai

WRITERS

SHLOKE LAL

PUBLISHERS

Lyrics © IPRS

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other