Ishk ki bhasha samjhne laga hu
Sab tamasha samjhne laga hu
Kaun sa khel khel rahe ho tum
Achha khasha samjhne laga hu
Kis haal mai rakha Hai ab tak
Dil tumne apne Haathon se
Parde k piche Kya saazish thi
Sab dekha hai apni Aankhon se
Halaat ka badla le tum se
Kis raat ka badla le tum se
Jee karta hai door karke tumhe
Har baat ka badla le tum se
Barsaat mai bheegi aankhon ka
Dil mai jo chubhi hai baato ka
Kis kis ka hisaab kre tum ko
Kis haq se maaf kre tum ko
Dhokhe mai hua ya marzi thi
Kis baat par safai deni hai
Jaao aaine mai dekho zara
Or kitni bewafai deni hai
Barsaat mai bheegi aankhon ka
Dil mai jo chubhi hai baato ka
Kis kis ka hisaab kre tum ko
Kis haq se maaf kre tum ko
Kiss kiss ka hisaab kre tum se
Kis haq se maaf kre tumhe
Jee karta hai door karke tumhe
Har baat ka badala le tumse
Khud se kya nazren mila paaoge
Khud hi khud mai mar jaaoge